Archive for the 'Jaun Elia' Category

ramz

tum jab aaogii to khoyaa hu’aa paaogii mujhe
merii duniyaa meN KhvaaboN ke sivaa kuch bhii nahiiN
mere kamre ko sajaane kii tamannaa hai tumheN
mere kamre meN kitaaboN ke sivaa kuch bhii nahiiN !

in kitaaboN ne bahut zulm kiyaa hai mujh par
in meN ek ramz hai jis ramz ka maara hu’aa zehn
muzhdah-e-ishrat-e-anjaam nahiiN paa saktaa
zindagii meN kabhii aaraam nahiiN paa sakta !!

(zulm : injustice; ramz : innuendo, insinuation; zehn : intellect; muzhdah : glad tidings; ishrat : pleasure; anjaam : completion; aaraam : rest)


dil pariishaaN hai, kyaa kiyaa jaaye
aql hairaaN hai, kyaa kiya jaaye

(pariishaaN : distressed; aql : mind; hairaaN : perplexed)

shauq-e-mushkil-pasand, unkaa husuul
saKht aasaaN hai, kyaa kiyaa jaaye

(shauq : desire; mushkil-pasand : fond of difficulties; husuul : attainment; saKht aasaaN : too easy)

ishq-e-KhuubaaN ke saath hii ham meN
naaz-e-KhuubaaN hai, kyaa kiyaa jaaye

(ishq-e-KhuubaaN : love of the beautiful people; naaz-e-KhuubaaN : pride of the beautiful people)


dil ne vahshat galii galii kar lii
ab gilaa kyaa, bahut Khushii kar lii

(vahshat : solitude; galii : lane; gilaa : complaint)

yaar, dil to balaa kaa thaa ayyaash
us ne kis tarah Khud-kushii kar lii ?

(balaa : affliction; ayyaash : pleasure seeker; Khud-kushii : suicide)

nahiiN aayeNge apne bas meN ham
ham ne koshish rahii sahii kar lii

ab to mujhko pasand aa jaao
maiN ne Khud meN bohot kamii kar lii !


aik saayaa meraa masiihaa thaa !
kaun jaane, vo kaun tha, kyaa thaa ?

(saayaa : shadows; masiihaa : messiah)

vo faqat sehn tak hii aatii thii
maiN bhii hujre se kam nikaltaa thaa

(faqat : only; sehn : verandah; hujraa : chamber)

tujh ko bhuulaa nahiiN vo shaKhs ke jo
terii baaNhoN meN bhii akelaa thaa

(shaKhs : person; baaNheN : arms)

jaan-levaa thiiN KhvaahisheN varnaa
vasl se intizaar achchaa thaa


aaKhrii baar aah kar lii hai

aaKhrii baar aah kar lii hai
maiN ne Khud se nibaah kar lii hai

(aah : sigh; nibaah : manage)

apne sar ek balaa to lenii thii
maiN ne vo zulf apne sar lii hai

(balaa : problem; zulf : tresses; sar : on oneself)

din bhalaa kis tarah guzaaro ge?
vasl kii shab bhii ab guzar lii hai !

(vasl : meeting; guzar : over)

jaaN-nisaaroN pe vaar kyaa karnaa !
maiN ne bas haath meiN sipar lii hai !


vo apne aap se bhii judaa chaahiye mujhe
us kaa jamaal us ke sivaa chaahiye mujhe

har lamhaa jii rahe haiN davaa ke baGhair ham
chaaraagaroN tumhaarii du’aa chaahiye hameN

phir dekhiye jo harf bhii nikle zabaan se
ek din jo puuch baithe ke kyaa chaahiye hameN

jaanaa nahiiN hai ghar se nikal kar kahiiN magar
har maah-ruu ke ghar kaa pataa chaahiye hameN

muddat se ham kisii ko nahiiN de sake fareb
ai shah’r-e-iltifaat wafaa chaahiye hameN


abhii farmaan aayaa hai vahaaN se

abhii farmaan aayaa hai vahaaN se
ke haT jaauuN maiN apne darmiyaaN se

yahaaN jo hai tanaffus hii meN kam hai
parinde uR rahe haiN shaaKh-e-jaaN se

dariichaa baaz (?) hai yaadoN kaa aur maiN
havaa suntaa huN peRon ki zabaaN se

thaa ab tak m’arkaa baahaar kaa dar-pesh
abhii to ghar bhii jaanaa hai yahaaN se

falaaN se behtar thii Ghazal falaaN kii
falaaN ke zaKhm acche the falaaN se


tumhaare naam, tumhaare nishaaN se be-sarokaar
tumhaarii yaad ke mausam guzarte jaate haiN
bas ek manzar-e-be-hijr-o-wasl hai jis meN
ham apne aap hi kuch rang bharte jaate haiN

Jaun Elia


تمھارے نام ، تمھارے نشان سے بےسروکار

تمھاری یاد کے موسم گزرتے جاتے ہین

بس اک منزرِ بے حجرو وسل ہے جسمین

ہم اپنے آپ ہی کچھ رنگ بھرتے جاتے ہین

جون ایلیا


meri aql-o-hosh ki sab haalatein

Download www.aligarians.com/audio/aur qitaat.rbs

Click above to listen these qitaat in Jaun’s own voice.

meri aql-o-hosh ki sab haalatein
tumne saanchein mein junoon mein dhaal deein
kar lia tha maine ahd-e-tark-e-ishq
tumne phir baahein gale mein daal deein

yun to apne qaasidaan-e-dil ke paas
jaane kis kis ke liye paighaam hain
per likhe hain maine jo auron ke naam
mere wo khat bhi tumhare naam hain


gaahe gaahe bas ab yahi ho kya

Download www.aligarians.com/audio/gaahe gaahe bas ab yahi.rbs

Click above to listen this ghazal in Jaun’s own voice.

gaahe gaahe bas ab yahi ho kya
tumse milkar bahut khushi ho kya

mil rahi ho bade tapaak ke saath
mujhko yaksar bhula chuki ho kya

yaad hain ab bhi apne khwaab tumhein
mujhse milkar udaas bhi ho kya

bas mujhe yunhi ek khyaal aaya
sochti ho to sochti ho kya

ab meri koii zindagi hi nahin
ab bhi tum meri zindagi ho kya